Jab Tak Hai Jaan Poem

Teri aankhon ki namkeen mastiyaan
Teri hansi ki beparwah gustakhiyan
Teri zulfon ki leharati angdaiyan
Nahi bhoolunga main

Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan

Tera haath se haath chhodna
Tera saayon se rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahi maaf karunga main

Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan

Baarishon mein bedhadak tere naachne se
Baat baat pe bewajah tere roothne se
Chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se
Mohabbat karunga main

Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan

Tere jhoote kasme waadon se
Tere jalte sulagte khwabon se
Teri be raham duaao se
Nafrat karunga main

Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan


0 comments:

Post a Comment